zahrāb  piine  vaale  amar  ho  ke  rah  ga.e
naisāñ  ke  chand  qatre  guhar  ho  ke  rah  ga.e
ahl-e-junūñ  vo  kyā  hue  jin  ke  baġhair  ham
ahl-e-ḳhirad  ke  dast-e-nigar  ho  ke  rah  ga.e
sahrā  ga.e  to  shahr  meñ  ik  shor  mach  gayā
jab  lauT  aa.e  shahr-badar  ho  ke  rah  ga.e
ummīd  ke  habāboñ  pe  ugte  rahe  mahal
jhoñkā  sā  ek  aayā  khañDar  ho  ke  rah  ga.e
rāhoñ  pe  dauḌte  rahe  ātish  ba-zer-pā
manzil  milī  to  ḳhāk-basar  ho  ke  rah  ga.e
āvāragard  misl  bagūloñ  ke  ham  rahe
baiThe  to  gard-e-rāhguzar  ho  ke  rah  ga.e
baḌhte  rahe  sarāboñ  pe  mānind-e-tishnagī
paanī  milā  to  ḳhushk  shajar  ho  ke  rah  ga.e
nazreñ  talāsh-e-husn  meñ  jā  pahuñchīñ  tā  ufuq
jalve  tamām  hadd-e-nazar  ho  ke  rah  ga.e
pābandiyoñ  meñ  the  to  dikhāte  the  mojaze
āzādiyoñ  meñ  shobada-gar  ho  ke  rah  ga.e
Dhāle  ga.e  to  pattharoñ  se  phuuT  nikle  raag
toḌe  ga.e  to  raqs-e-sharar  ho  ke  rah  ga.e
chañg  o  rabāb  meñ  rahe  mānind-e-naġhmagī
teġh  o  sināñ  meñ  siina  sipar  ho  ke  rah  ga.e
muñh  jitne  utnī  bāteñ  kahī  jā  rahī  haiñ  aaj
yuuñ  mushtahar  hue  ki  ḳhabar  ho  ke  rah  ga.e
'vāmiq'  do-dhārī  teġh  hai  vo  lahja-e-jadīd
naġhme  tamām  ḳhuun  meñ  tar  ho  ke  rah  ga.e