dil  ke  vīrāne  ko  yuuñ  ābād  kar  lete  haiñ  ham
kar  bhī  kyā  sakte  haiñ  tujh  ko  yaad  kar  lete  haiñ  ham
jab  buzurgoñ  kī  duā.eñ  ho  ga.iiñ  be-kār  sab
qarz-e-ḳhvāb-āvar  se  dil  ko  shaad  kar  lete  haiñ  ham
talḳhi-e-kām-o-dahan  kī  ābyārī  ke  liye
dāvat-e-shīrāz-e-abr-o-bād  kar  lete  haiñ  ham
dekh  kar  dhabbe  lahū  ke  dast-e-ādam-zād  par
taarī  apne  zehn  par  ilhād  kar  lete  haiñ  ham
kaun  suntā  hai  bhikārī  kī  sadā.eñ  is  liye
kuchh  zarīfāna  latīfe  yaad  kar  lete  haiñ  ham
jab  purānā  lahja  kho  detā  hai  apnī  tāzgī
ik  na.ī  tarz-e-navā  ījād  kar  lete  haiñ  ham
dekh  kar  ahl-e-qalam  ko  kushta-e-āsūdgī
ḳhud  ko  'vāmiq'  farz  ik  naqqād  kar  lete  haiñ  ham