barq  sar-e-shāḳh-sār  dekhiye  kab  tak  rahe
ham  ko  yaqīn-e-bahār  dekhiye  kab  tak  rahe
dāman-e-gulchīñ  meñ  phuul  bulbul-e-shaidā  malūl
rūh-e-chaman  sogvār  dekhiye  kab  tak  rahe
kitne  na.e  qāfile  manziloñ  se  jā  mile
baḳht  meñ  apne  ġhubār  dekhiye  kab  tak  rahe
dekhiye  kab  raah  par  Thiik  se  uTTheñ  qadam
raat  kī  mai  kā  ḳhumār  dekhiye  kab  tak  rahe
mehnat-e-be-dām  par  nazm-e-kuhan  barqarār
nazm-e-kuhan  barqarār  dekhiye  kab  tak  rahe
ahl-e-junūñ  ḳhuub  haiñ  vāqif-e-ā.īn-e-shauq
dil  pe  magar  iḳhtiyār  dekhiye  kab  tak  rahe
dekhiye  kab  tak  nazar  bazm  meñ  bhaTkā  kare
hasrat-e-dīdār-e-yār  dekhiye  kab  tak  rahe
raat  bhī  murjhā  chalī  chāñd  bhī  kumhlā  gayā
phir  bhī  tirā  intizār  dekhiye  kab  tak  rahe
kashmakash-e-nañg-o-nām  dahr  meñ  jiinā  harām
naam  kī  ye  jiit  haar  dekhiye  kab  tak  rahe
dekhiye  kab  tak  zamīñ  zarroñ  kī  dhamkī  sahe
ziist  ke  ruḳh  par  ġhubār  dekhiye  kab  tak  rahe
barsar-e-'vāmiq'  hazār  gardish-e-lail-o-nahār
gardish-e-lail-o-nahār  dekhiye  kab  tak  rahe