taqsīr  kyā  hai  hasrat-e-dīdār  hī  to  hai
pādāsh  us  kī  husn  kā  pindār  hī  to  hai
kyā  pūchhte  ho  merā  fasāna  nayā  nahīñ
kyā  dekhte  ho  ishq  sar-e-dār  hī  to  hai
band-e-qabā  chaTaktā  huā  ġhuncha-e-gulāb
pahlū-e-yār  nik.hat-e-gulzār  hī  to  hai
ham-sā.egī  meñ  us  kī  hai  kyā  lutf  in  dinoñ
lekin  ye  lutf-e-sāya-e-dīvār  hī  to  hai
ai  bāġhbāñ  ba-nām-e-bahārāñ  na  chheḌ  use
gulzār  meñ  muhāfiz-e-gul  ḳhaar  hī  to  hai
sāz-e-hayāt  ham-nafaso  ḳhuub  hai  magar
kab  TuuT  jaa.e  saañs  kā  ik  taar  hī  to  hai
maiñ  tañg  huuñ  sukūn  se  ab  iztirāb  de
be-intihā  sukūn  bhī  āzār  hī  to  hai
ḳhud  jis  meñ  kuchh  na  paayā  na  auroñ  ko  kuchh  diyā
fil-asl  aisī  zindagī  bekār  hī  to  hai