qirtās  pe  naqshe  hameñ  kyā  kyā  nazar  aa.e
sab  ḳhushk  nazar  aa.e  jo  dariyā  nazar  aa.e
kis  ko  shab-e-hijrāñ  kī  girānī  kā  ho  ehsās
jab  din  chaḌhe  bāzār  meñ  taarā  nazar  aa.e
patthar  sā  vo  lagtā  hai  TaTolo  na  jo  dil  ko
aur  haath  meñ  le  lo  to  sarāpā  nazar  aa.e
sahrā  kī  sadā  jis  ko  samajhte  rahe  kal  tak
vo  harf-e-junūñ  ab  chaman-ārā  nazar  aa.e
manzil  kā  ta.ayyun  hī  ḳhalā  meñ  nahīñ  mumkin
ham  ko  to  koī  dasht  na  dariyā  nazar  aa.e
ai  kaash  mire  gosh  o  nazar  bhī  raheñ  sābit
jab  husn  sunā  jaa.e  yā  naġhma  nazar  aa.e
ik  halqa-e-ahbāb  hai  tanhā.ī  bhī  us  kī
ik  ham  haiñ  ki  har  bazm  meñ  tanhā  nazar  aa.e
ham  ne  jo  tarāshe  the  sanam  ahd-e-junūñ  meñ
un  meñ  se  har  ik  aaj  shivāla  nazar  aa.e
is  daur  kī  taḳhlīq  bhī  kyā  shīshagarī  hai
har  ā.īne  meñ  aadmī  ulTā  nazar  aa.e