umr  kī  rau  badal  ga.ī  shāyad
ham  se  aage  nikal  ga.ī  shāyad
lauh  par  chand  TeḌhe  meḌhe  ḳhutūt
merī  sūrat  badal  ga.ī  shāyad
phir  charāġh-e-sutūn-e-dār  bujhā
aaj  phir  maut  Tal  ga.ī  shāyad
mai-kade  meñ  paḌī  hai  us  kī  laash
vo  phaTī  hañDī  chal  ga.ī  shāyad
sarkashī  ḳhud-kashī  pe  ḳhatm  huī
ek  rassī  thī  jal  ga.ī  shāyad
kuchh  nahīñ  baaqī  ab  ba-juz  ḳhushbū
kyā  javānī  thī  Dhal  ga.ī  shāyad