na.e  gul  khile  na.e  dil  bane  na.e  naqsh  kitne  ubhar  ga.e
vo  payambarān-e-sad  inqilāb  jidhar  jidhar  se  guzar  ga.e
jo  shahīd-e-rāh-e-vafā  hue  vo  isī  ḳhushī  meñ  magan  rahe
ki  jo  din  the  un  kī  hayāt  ke  ġham-e-zindagī  meñ  guzar  ga.e
abhī  saath  saath  to  the  magar  mujhe  mere  haal  pe  chhoḌ  kar
mire  ham-jalīs  kahāñ  ga.e  mire  ham-safīr  kidhar  ga.e
mirī  justujū  ko  faqīh-e-shahr  batā  rahā  hai  sharīk-e-zeher
use  kyā  ḳhabar  ki  dimāġh  o  dil  yahī  zahr  khā  ke  nikhar  ga.e
are  o  adīb-e-fasurda-ḳhū  are  o  muġhanni-e-rañg  o  bū
abhī  hāshiye  pe  khaḌā  hai  tū  bahut  aage  ahl-e-hunar  ga.e