Nasreen Naqqash

main chanchal iThlati nadiya bhanwar se kab tak bachti main

Nasreen Naqqash

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1963

maiñ chanchal iThlātī nadiyā bhañvar se kab tak bachtī maiñ

lahr lahr meñ Duub ke ubhrī ubhar ubhar ke Duubī maiñ

maiñ koī patthar to nahīñ thī mujh ko chhūkar bhī dekhā

barf ko thoḌī aañch to miltī aap aap pighaltī maiñ

añg lagā kar bedardī ne aag bhar nas nas meñ

TuuT ga.e sab laaj ke ghuñghrū aisā jhuum ke nāchī maiñ

prem ke bandhan meñ bañdh kar sājan itnī duurī kyuuñ

tum bhī pyāse pyāse bādal pyāsī pyāsī dhartī maiñ

aane vaale dvaar pe pahroñ dastak de kar lauT ga.e

haath meñ le kar paḌhne baiThī jab pirītam chiTThī maiñ

sannāTe meñ jab jab chhankī bairī paḌosan paa.el

jaane vaale yaad meñ terī raat rāt-bhar jaagī maiñ

kyā andhā vishvās thā ai 'nasrīn' vo mujh ko manā legā

har bandhan se chhūT gayā vo haa.e kyuuñ us se rūThī maiñ

Top Urdushayar.com