Ahmad Hamdani

chand ojhal ho gaya har ek sitara bujh gaya

Ahmad Hamdani

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2015
chāñd ojhal ho gayā har ik sitārā bujh gayā
āñdhiyāñ aisī chalīñ phir dil hamārā bujh gayā
ab to ham haiñ aur samundar aur havā.eñ aur raat
duur se kartā thā jhilmil ik kinārā bujh gayā
ghūrte haiñ log baiThe kyā ḳhalāoñ meñ ki ab
har ishāra bujh gayā hai har sahārā bujh gayā
har nazar ke sāmne ab be-karāñ pahlī sī riit
jagmagātā baat kartā dasht saarā bujh gayā
jam ga.ī hai barf kaisī har taraf logo yahāñ
raakh tak ThanDī paḌī kyā kyā sharārā bujh gayā
shahr chup haiñ rāste ḳhāmosh haiñ chehre udaas
bas bagūle uḌ rahe haiñ har nazārā bujh gayā
Top Urdushayar.com