kisī  se  haath  kisī  se  nazar  milāte  hue
maiñ  bujh  rahī  huuñ  ravā-dāriyāñ  nibhāte  hue
kisī  ko  mere  dukhoñ  kī  ḳhabar  bhī  kaise  ho
ki  maiñ  har  ek  se  miltī  huuñ  muskurāte  hue
ajiib  ḳhauf  hai  andar  kī  ḳhāmushī  kā  mujhe
ki  rāstoñ  se  guzartī  huuñ  gungunāte  hue
kahāñ  tak  aur  maiñ  simTūñ  ki  umr  biit  ga.ī
dil  o  nazar  ke  taqāzoñ  se  muñh  chhupāte  hue
nahīñ  malāl  ki  maiñ  rā.egāñ  huī  huuñ  'nūr'
badan  kī  ḳhaak  se  dīvār-o-dar  banāte  hue