kabhī  jo  mārka  ḳhvāboñ  se  rat-jagoñ  kā  huā
ajiib  silsila  āñkhoñ  se  āñsuoñ  kā  huā
jalā  ke  chhoḌ  gayā  thā  jo  tāq-e-dil  meñ  kabhī
kisī  ne  pūchhā  na  kyā  haal  un  diyoñ  kā  huā
likhā  gayā  hai  mirā  naam  dushmanoñ  meñ  sadā
shumār  jab  bhī  kabhī  mere  dostoñ  kā  huā
mazāq  uḌāte  the  āñdhī  se  pahle  sab  merā
jo  mere  ghar  kā  thā  phir  haal  sab  gharoñ  kā  huā
badal  rahī  haiñ  mire  haath  kī  lakīreñ  phir
kahā  na  ab  ke  bhī  shāyad  najūmiyoñ  kā  huā
vafā-shi.ār  tabī.at  kā  ye  sila  hai  'nūr'
mirī  hayāt  kā  har  lamha  dūsroñ  kā  huā