havā  ke  hausle  zanjīr  karnā  chāhtā  hai
vo  merī  ḳhvāhisheñ  tasvīr  karnā  chāhtā  hai
nazar  jis  se  churā  kar  maiñ  guzarnā  chāhtī  huuñ
vo  mausam  hī  mujhe  tasḳhīr  karnā  chāhtā  hai
visāl-e-dīd  ko  āñkheñ  chhupānā  chāhtī  haiñ
magar  dil  vāqi.a  tahrīr  karnā  chāhtā  hai
mizāj-e-bād-o-bārāñ  āshnā  hai  shauq  lekin
na.e  dīvār-o-dar  tāmīr  karnā  chāhtā  hai
mire  saare  savāl  us  kī  nazar  ke  muntazir  haiñ
vo  dānista  magar  tāḳhīr  karnā  chāhtā  hai