lamha  lamha  kah  rahī  haiñ  kuchh  fazā.eñ  aag  kī
zarra  zarra  aa  rahī  haiñ  kyā  sadā.eñ  aag  kī
ḳhushk  peḌoñ  ke  laboñ  par  kyā  duā.eñ  haiñ  suno
chhā  rahī  haiñ  har  taraf  dekho  ghaTā.eñ  aag  kī
kūcha-o-bāzār  bhī  dīvār-o-dar  bhī  aag  haiñ
ik  ishāra  sā  hai  fasleñ  lahlahā.eñ  aag  kī
aag  kī  lahreñ  haiñ  yā  logoñ  kī  sāñseñ  haiñ  yahāñ
dekhnā  ye  bastiyāñ  ab  ban  na  jaa.eñ  aag  kī
jism  to  kab  kā  jalā  ab  ruuh  tak  jaatī  hai  aañch
chal  rahī  haiñ  tez  kaisī  ye  havā.eñ  aag  kī
uḌ  rahā  hai  ik  bagūlā  aag  barsātā  huā
khetiyāñ  sab  nazr  logo  ho  na  jaa.eñ  aag  kī