Khalid Irfan

main corruption ki fazilat ko kahan samjha tha

Khalid Irfan

maiñ corruption fazīlat ko kahāñ samjhā thā

bahr-e-zulmāt ko chhoTā kuaañ samjhā thā

phir bajaT us ne girāyā hai hathauḌe tarah

vo hukūmat ko bhī lohe dukāñ samjhā thā

tāj-mahaloñ jagah tum ne banā.īñ qabreñ

leadaro ham ne tumheñ shāh-jahāñ samjhā thā

khiḌkiyāñ toḌ gayā vo sabhī jaate jaate

mere dil ko jo kirā.e makāñ samjhā thā

pā.eñche jeans ke Taḳhnoñ se bahut uupar the

maiñ surayyā ko surayyā miyāñ samjhā thā

maañ ne beTī se kahā terī ḳhatā hai is meñ

ne sasurāl meñ kyuuñ saas ko maañ samjhā thā

yuuñ buḌhāpe meñ na tum chhoḌ ke vāpas jaao

bīvīyo tum ne kabhī mujh ko miyāñ samjhā thā

Top Urdushayar.com