Mohammad Amir Alvi Amir

mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega

Mohammad Amir Alvi Amir

Rampur, Uttar pradesh, India

1960
maanā har shaḳhs mire haq meñ gavāhī degā
zulm-parvar jo vo Thahrā to sazā hī degā
kyā gumāñ thā mire ajdād ke raushan naamo
ye mirā daur tumheñ baḳht-e-siyah hī degā
tū hai ik ret muqaddar hai havā kī Thokar
phir bhalā kaun tujhe pusht-panāhī degā
mere jañgal kī bhī vus.at ko to dekhā hotā
ik diyā kyā mujhe anjām batā hī degā
maiñ to rūThā ki manāte hue dekhūñ us ko
kyā ḳhabar thī ki sitamgar vo bhulā hī degā
vaqt badlā to usī haath meñ hogā ḳhanjar
ye na soch jab bhī uThegā to duā hī degā
nā-ḳhudāoñ pe bharosa na Dubo de 'āmir'
qurb-e-sāhil jo tujhe degā ḳhudā hī degā
Top Urdushayar.com