in  aql  ke  bandoñ  meñ  āshufta-sarī  kyuuñ  hai
ye  tañg-dilī  kyuuñ  hai  ye  kam-nazarī  kyuuñ  hai
asrār  agar  samjhe  duniyā  kī  har  ik  shai  ke
ḳhud  apnī  haqīqat  se  ye  be-ḳhabarī  kyuuñ  hai
sau  jalve  haiñ  nazroñ  se  mānind-e-nazar  pinhāñ
dāvā-e-jahāñ-bīnī  ai  dīda-varī  kyuuñ  hai
hal  jin  kā  amal  se  hai  paikār-o-jadal  se  hai
in  zinda  masā.il  par  bahs-e-nazarī  kyuuñ  hai
to  dekh  tire  dil  meñ  hai  soz-e-talab  kitnā
mat  pūchh  duāoñ  meñ  ye  be-asarī  kyuuñ  hai
ai  gul  jo  bahār  aa.ī  hai  vaqt-e-ḳhud-ārā.ī
ye  rañg-e-junūñ  kaisā  ye  jāma-darī  kyuuñ  hai
vaa.iz  ko  jo  aadat  hai  pechīda-bayānī  kī
hairāñ  hai  ki  rindoñ  kī  har  baat  kharī  kyuuñ  hai
miltā  hai  use  paanī  ashkoñ  kī  ravānī  hai
ma.alūm  huā  khetī  zaḳhmoñ  kī  harī  kyuuñ  hai
ulfat  ko  'asad'  kitnā  āsān  samajhtā  thā
ab  nāla-e-shab  kyuuñ  hai  āh-e-saharī  kyuuñ  hai