tamāshā  hai  ki  sab  āzād  qaumeñ
bahī  jaatī  haiñ  āzādī  kī  rau  meñ
vo  gard-e-kārvāñ  ban  ke  chale  haiñ
sitāre  the  ravāñ  jin  ke  jilau  meñ
safar  kaisā  faqat  āvārgī  hai
nahīñ  manzil  nigāh-e-rāh-rau  meñ
hai  soz-e-dil  hī  rāz-e-zindagānī
hayāt-e-sham.a  hai  sirf  us  kī  lau  meñ
bahut  the  ham-zabāñ  lekin  jo  dekhā
na  niklā  ek  bhī  hamdard  sau  maiñ
'asad'  saaqī  kī  hai  dohrī  ināyat
sharāb-e-kohna  Daalī  jām-e-nau  meñ