Jameela Khuda Bakhsh

is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ijad na kar

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
is qadar zulm-o-sitam ai sitam-ījād na kar
ḳhaak ham ḳhāk-nashīnoñ kī tū barbād na kar
ishq un kā mire pahlū meñ ye detā hai sadā
bhuul jā apnī ḳhudī ġhair ko bhī yaad na kar
sabr lāzim hai tujhe koh-e-mohabbat pe zarūr
jazb-e-dil ko tū kahīñ taisha-e-farhād na kar
sho.ala-e-hijr se ḳhuuñ ḳhushk huā hai us kā
rag-e-āshiq pe sitam nashtar-e-fassād na kar
qaid-e-ġham se kahīñ āzād bhī ho jān-e-hazīñ
qatl karne meñ tāmul mire jallād na kar
fasl-e-gul aa.ī hai shādāb huā hai gulshan
bulbul-e-zār tū yaañ shevan-o-faryād na kar
jazb-e-dil saath 'jamīla' kā nahīñ chhoḌegā
ġham nahīñ ḳhizr rah-e-ishq meñ imdād na kar
Top Urdushayar.com