Jameela Khuda Bakhsh

kaun si shai mein tera nur nahin

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kaun sī shai meñ tirā nuur nahīñ
kis jagah par tirā zuhūr nahīñ
dil se aatī hai ye sadā paiham
paas tere huuñ tujh se duur nahīñ
dil-e-vahshī ne the qadam chūme
is meñ koī mirā qusūr nahīñ
ḳhaak ho kar ġhubār-e-rāh bano
naḳhvat-o-kibr kuchh zarūr nahīñ
jalva dikhlā de shāh-e-dīñ mujh ko
tere lutf-o-karam se duur nahīñ
jalva-e-nūr se jalā thā koh
dil makān-e-ḳhudā hai tuur nahīñ
ai 'jamīla' gunah kā kyā dhaḌkā
naam is kā magar ġhafūr nahīñ
Top Urdushayar.com