Jameela Khuda Bakhsh

aaj sunte hain ki mere ghar wo yar aane ko hai

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
aaj sunte haiñ ki mere ghar vo yaar aane ko hai
apne qaabū meñ dil-e-be-iḳhtiyār aane ko hai
bulbuleñ haiñ naġhma-zan phūlā huā hai bāġhbāñ
baaġh meñ khiltī haiñ kaliyāñ kyā bahār aane ko hai
dekhtā huuñ chashm-e-nargis aaj sharmā.ī huī
kyā tumhārī diid kā ummīd-vār aane ko hai
misl-e-tasvīr-e-ḳhayālī murġh-e-bustāñ haiñ ḳhamosh
bāġhbāñ gulshan meñ koī dil-figār aane ko hai
ai 'jamīla' fasl-e-gul aa.ī chalā sahrā ko maiñ
mehmāñ ban kar mire talvoñ meñ ḳhaar aane ko hai
Top Urdushayar.com