Jameela Khuda Bakhsh

tegh-e-abru ka jo qatil hua

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
teġh-e-abrū kā jo qatīl huā
vo shahīdoñ meñ be-adīl huā
chashma-e-ashk chashm-e-pur-nam thā
ḳhuld meñ jo ki salsabīl huā
aabrū dī hai inkisārī ne
ḳhāksārī se maiñ jalīl huā
ḳhud-faristanda thā farastāda
vahī lā kar vo jibra.īl huā
huuñ vo aasī ki shola-e-dozaḳh
naar hī gulshan-e-ḳhalīl huā
juz ġham-e-yār dasht-e-ġhurbat meñ
kaun aisā thā jo kafīl huā
ab ḳhudā hī se lau lagā.ūñgā
de ke dil but ko maiñ zalīl huā
shab-e-furqat jo ḳhat likhā maiñ ne
zulf-e-jānāñ sā vo tavīl huā
ai 'jamīla' ye dil hai dushman-e-jāñ
marg-e-āshiq kā jo dalīl huā
Top Urdushayar.com