Jameela Khuda Bakhsh

kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kyā ḳhabar thī yaar ke aate hī aafat aa.egī
qāmat-e-zebā meñ poshīda qayāmat aa.egī
pahlū-e-vīrāñ ko apne dekh kar kahtā huuñ maiñ
dil na DhūñDhūñgā yahāñ un kī nadāmat aa.egī
ġham nahīñ monis na ho koī tire bīmār kā
vādī-e-ġhurbat meñ us ke saath himmat aa.egī
is tasavvur meñ na dekhā ā.īna us yaar ne
ban ke jān-e-mubtalā mir.at meñ hairat aa.egī
mārte haiñ be-gunah vo roz ik nāshād ko
rafta rafta ek din apnī bhī naubat aa.egī
dushmanoñ ne ye samajh kar bazm se rokā mujhe
dekh kar shāyad mujhe un ko muravvat aa.egī
merī betābī kī hālat se unheñ aagah kiyā
haif tujh meñ nāma-bar kab ādamiyat aa.egī
go ġharīb-e-be-vatan huuñ ba.ad-e-murdan dekhnā
āh-o-zārī ko mirī turbat pe hasrat aa.egī
hai dam-e-murdan tasavvur ai but-e-zebā tirā
maut aa.egī to ban kar terī sūrat aa.egī
ai 'jamīla' is dil-e-vahshī kī hālat dekh kar
qais ko farhād ko vāmiq ko ibrat aa.egī
Top Urdushayar.com