Jameela Khuda Bakhsh

tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921

tumhāre dekhne ko hasrat-e-hairat-fazā Thahrī

dil-e-mahzūñ se niklī dīda-e-bismil meñ aa Thahrī

tasavvur yaar thā sāmne aatī qazā kyuuñ kar

sar-e-bālīñ dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-rubā Thahrī

jhukāyā bār-e-isyāñ ne hamāre dast-e-hasrat ko

pahuñch kar tā-ba-lab jis nadāmat se duā Thahrī

tumhārī jumbish-e-abrū se ghāyal ho ga.e āshiq

ban aa.ī jaan par un tumhārī ik adā Thahrī

usī andāz ne vīrāñ kiyā hai mere pahlū ko

dil-e-āshiq ke lene ko in āñkhoñ meñ ziyā Thahrī

sabā ke tez jhoñkoñ ne phirāyā dar-ba-dar us ko

zamīñ par chain se kis dam ye ḳhāk-e-mubtalā Thahrī

jalāyā muskurā kar aur adā se kar diyā murda

kahīñ to ye jafā Thahrī kisī par vafā Thahrī

basān-e-ḳhūn-e-dil chaspāñ huī hai tere talvoñ se

hamārī dushman-e-jāñ ab ye shoḳhī-e-ziyā Thahrī

ilāhī kyā mire dilbar ne kholā apne gesū ko

mashām-e-jāñ meñ apne aa ke bū-e-jāñ-fizā Thahrī

tumhārī bad-duā se lutf miltā hai mire dil ko

maiñ āshiq huuñ tumhārā vo mire haq meñ duā Thahrī

farishtoñ ne pukārā ai 'jamīla' jald hāzir ho

ḳhudā ke rū-ba-rū aa kar saf-e-ahl-e-safā Thahrī

Top Urdushayar.com