Jameela Khuda Bakhsh

kaTunga shab taDap kar ro kar sahar karunga

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kāTūñgā shab taḌap kar ro kar sahar karūñgā
furqat meñ terī jānāñ yuuñ hī basar karūñgā
kahtā hai ishq-e-dilbar furqat meñ ho na muztar
dil meñ guzar karūñgā āñkhoñ meñ ghar karūñgā
aatā nahīñ vo dilbar kahtā hai roz mujh se
aane kī apne tujh ko pahle ḳhabar karūñgā
tum jā rahe ho jaao ai but mirā ḳhudā hai
siine ko rañj-e-furqat patthar jigar karūñgā
qatroñ meñ chashm-e-tar ke tasvīr-e-dil-rubā hai
hasrat se kyuuñ na us kī jānib nazar karūñgā
āshiq kā qāfila ab jaatā hai un ke dar par
bāñg-e-jaras banūñgā nāloñ ko sar karūñgā
turbat ko dekh kar maiñ kahtā huuñ ai 'jamīla'
ai gor maiñ bhī terā ābād ghar karūñgā
Top Urdushayar.com