Jameela Khuda Bakhsh

fasl-e-gul dekh ke afzun hui wahshat apni

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921

fasl-e-gul dekh ke afzūñ huī vahshat apnī

le chale dekhiye kis mujhe qismat apnī

go mujhe zo.af ne majbūr kiyā thā lekin

manzil-e-ishq meñ kaam aa ga.ī himmat apnī

insāf se kah de ki ye pardā kyā hai

kyuuñ chhupātā hai dikhā kar mujhe sūrat apnī

pūchhte kyā ho fidā jaan kiyā kyuuñ maiñ ne

ishq apnā hai dil apnā hai tabī.at apnī

mahv-e-nazzāra haiñ ham to kisī jānib chhup kar

aur vo ā.īne meñ dekhā kare sūrat apnī

rāhat-o-ranj ġhairoñ pe asar kyā hogā

rañj apnā hai alam apnā masarrat apnī

jaan jaa.e to chalī jaa.e magar ai qātil

tere kūche meñ ho jaa.e shahādat apnī

sar meñ saudā-e-havas aur takabbur na rahe

chashm-e-bātin se agar dekhe haqīqat apnī

tār-e-malbūs-e-ḳhudī kyuuñ raheñ baaqī mere

panja-e-dast-e-junūñ apnā hai vahshat apnī

mar jā.ūñ maiñ agar hijr meñ naale na karūñ

āh-o-zārī se nikal jaatī hai kulfat apnī

dil use de ke 'jamīla' maiñ abas kyuuñ rotā

us ne rakhne ko mujhe thī amānat apnī

Top Urdushayar.com