Jameela Khuda Bakhsh

liya hai ishq ne kya intiKHab kar ke mujhe

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
liyā hai ishq ne kyā intiḳhāb kar ke mujhe
chunā jo bazm meñ jām-e-sharāb kar ke mujhe
ḳhatā-o-jurm pe mujh ko bahut nadāmat thī
diyā jo ḳhuld meñ jā be-hisāb kar ke mujhe
tumhāre naqsh-e-qadam se ye aa rahī hai sadā
qadam ne chhoḌ diyā ham-rikāb kar ke mujhe
ḳhatā nahīñ hai mirī ai sanam maiñ kyā kartā
biThāyā dasht meñ dil ne azaab kar ke mujhe
ye ḳhāk-e-āshiq-e-ġhamgīñ se aa rahī hai sadā
qazā chalī ga.ī masrūf-e-ḳhvāb kar ke mujhe
ḳhudā kī shaan to dekho ki un ke gulshan meñ
nasīm le ga.ī bū-e-gulāb kar ke mujhe
banāyā sajda-gah-e-ins-o-jinn dilā ne mire
'jamīla' sañg-e-dar-e-bū-turāb kar ke mujhe
Top Urdushayar.com