Jameela Khuda Bakhsh

kaho to aaj dil-e-be-qarar kaise ho

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kaho to aaj dil-e-be-qarār kaise ho
shab-e-alam ke satā.e nazār kaise ho
havas yahī hai ki pūchhe vo aa ke ham se kabhī
hamārī diid ke ummīd-vār kaise ho
taḌap rahe ho lahad meñ ki chain-o-rāhat hai
kaho to mujh se ki ahl-e-mazār kaise ho
na is tarah karo pāmāl dil ko āshiq ke
samand-e-nāz ko roko savār kaise ho
hamārī raah na khoTī karo ḳhudā ke liye
hameñ satāo na sahrā ke ḳhaar kaise ho
kinārā ḳhvāb ko hai chashm-e-tar se āshiq ke
ḳhayāl-e-jalva-e-dīdār-e-yār kaise ho
'jamīla' merī zabāñ se na kuchh nikal jaa.e
vo mujh se pūchhte haiñ baar baar kaise ho
Top Urdushayar.com