Jameela Khuda Bakhsh

shoala-e-ah ne sikha hai jalana dil ka

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
sho.ala-e-āh ne sīkhā hai jalānā dil kā
nahīñ miltā hai jo pahlū meñ Thikānā dil kā
shoḳhiyāñ ā.eñgī baḌhne do abhī sin un kā
zulf-e-pur-pech sikhā degī phañsānā dil kā
na.e andāz se lete haiñ vo dil āshiq kā
ravish-e-nāz se sīkhā hai churānā dil kā
sūrat-e-barg-e-hinā kis ne banāyā tum ko
pesh kar paa.e nigārīñ meñ lagānā dil kā
kyā mujhe dasht-navardī kā mazā detā hai
justujū meñ tirī yuuñ ḳhaak uḌānā dil kā
kyā ḳhabar thī vo pa.e sair idhar aa.egā
sīkhtā parda-e-pahlū meñ chhupānā dil kā
un ke kūche meñ bapā fitna-e-mahshar na kare
shab-e-tārīk meñ kyā shor machānā dil kā
tūr-e-ulfat pe chalo tā maiñ dikhā.ūñ tum ko
ho ke behosh kabhī hosh meñ aanā dil kā
shukr kar shukr 'jamīla' ki zahe terā nasīb
ho gayā kūcha-e-jīlāñ meñ Thikānā dil kā
Top Urdushayar.com