Jameela Khuda Bakhsh

marte marte ye humne kaam kiya

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
marte marte ye ham ne kaam kiyā
jaan de kar vafā kā naam kiyā
shaiḳh san.ā banā hai ishq meñ dil
but ko sajda kiyā salām kiyā
zulf-e-pur-pech khol kar ruḳh par
ek jā lutf-e-su.bh-o-shām kiyā
tum ne majnūñ kahā to āshiq ne
dasht-e-pur-ḳhār meñ qayām kiyā
mahv-e-hairat banā diyā mujh ko
tum ne kis lutf se kalām kiyā
chal ke gulshan meñ dekh le kaisā
mausam-e-gul ne ehtimām kiyā
mubtalā ḳhud nisār ho jaate
tum ne afsos qatl-e-ām kiyā
apne bandoñ ke vāste us ne
vaah kyā kuchh na intizām kiyā
saarī ḳhilqat huī tamāshā.ī
tum ne jab baam par qayām kiyā
kū-e-jānāñ hai mujh ko ḳhuld-e-barīñ
maiñ ne apnā yahīñ maqām kiyā
khīñch laayā 'jamīla' āḳhir-e-kār
jazb-e-sādiq ne ḳhuub kaam kiyā
Top Urdushayar.com