Jameela Khuda Bakhsh

Khaali aashiq se kabhi kucha-e-jaanan na raha

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
ḳhālī āshiq se kabhī kūcha-e-jānāñ na rahā
kaun sī shab vo thī jis meñ koī giryāñ na rahā
dekhiye nāḳhun-e-vahshat ke sabab āshiq kā
tār-e-dāmāñ na rahā tār-e-garebāñ na rahā
shaiḳh kyā va.az sunātā hai dikhāne ke liye
dil meñ tasvīr-e-sanam hai tirā īmāñ na rahā
ho gayā saath dil-e-zār ke vo bhī ruḳhsat
māya-e-zīst jo apnā thā vo armāñ na rahā
ham-safīro na kaho naġhma-zanī ko mujh se
ab chalī bād-e-ḳhizāñ aur gul-e-ḳhandāñ na rahā
ruḳh dikhāte hī kiyā mahv-e-tamāshā tū ne
kab tirā shefta ā.īna sā hairāñ na rahā
ashk-e-dīda to hue ḳhushk 'jamīla' kah do
ḳhizr tum aa.e to kyā chashma-e-haivāñ na rahā
Top Urdushayar.com