Jameela Khuda Bakhsh

samajh ke zulm karo ai buto KHuda bhi hai

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921

samajh ke zulm karo ai buto ḳhudā bhī hai

tumhāre jaur-o-jafā kuchh intihā bhī hai

agar maiñ jā.ūñgā pūchhūñgā ye masīhā se

ki mere dard-e-jigar koī davā bhī hai

kabhī rahā mire lab tak kabhī vahāñ pahuñchā

ye naala merā rasā aur nā-rasā bhī hai

fasāna qais logoñ se sun liyā hogā

ye merā qissa-e-ġham aap ne sunā bhī hai

musāfirān-e-adam aa.e do-ghaḌī ke liye

sarā-e-dahr meñ aa kar koī rahā bhī hai

tamāshā dekhiye vo ba.ad-e-qatl bhuul gayā

ki mere dar pe koī kushta-e-adā bhī hai

jafā-o-jaur se un ke to ho gayā aajiz

butoñ ke ishq is dil meñ hauslā bhī hai

samajh ke ḳhār-e-muġhīlāñ to sar uThā apnā

ki rahravoñ meñ ik āshiq barhana-pā bhī hai

safīna bahr-e-musībat se paar kar degā

ḳhudā samajhte ho jis ko vo nāḳhudā bhī hai

uThāo shauq se manzil meñ tum qadam apne

ki rāhzan jo hai is meñ vo rahnumā bhī hai

nazar se shaiḳh chhup kar chalā huuñ piine ko

'jamīla' abr hai bārish hai aur havā bhī hai

Top Urdushayar.com