Jameela Khuda Bakhsh

ru-ba-ru aana chhupana chhoD de

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
rū-ba-rū aanā chhupānā chhoḌ de
lan-tarānī kā sunānā chhoḌ de
jalva-gar ho jā mire dil meñ sanam
kū-ba-kū mujh ko phirānā chhoḌ de
ab to musht-e-ḳhāk baaqī rah ga.ī
sho.ala-e-furqat jalānā chhoḌ de
rañj sahne kī nahīñ tāqat mujhe
ġhair kī mahfil meñ jaanā chhoḌ de
misl-e-but ḳhāmosh ho jā.ūñgā maiñ
gar salāsil ġhul machānā chhoḌ de
ai sabā sar-gashta maiñ kab tak rahūñ
merī miTTī kā uḌānā chhoḌ de
taar taar ab ho ga.e dāman mire
panja-e-vahshat sunānā chhoḌ de
ruḳh pe aa kar be-adab karte haiñ bal
gesuoñ kā sar chhuḌānā chhoḌ de
huuñ 'jamīla' kī tarah maiñ ġham-zada
ai falak merā satānā chhoḌ de
Top Urdushayar.com