Jameela Khuda Bakhsh

hai mere pesh-e-nazar chand si surat teri

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
hai mire pesh-e-nazar chāñd sī sūrat terī
gul khilā.egī kisī roz mohabbat terī
baar ulfat kā na uThtā kisī āshiq se magar
roz detī hai ilāhī ise qudrat terī
chashm-e-maqtūl ko dekhā to kahā qātil ne
jā.egī tā-ba-lahad saath ye hasrat terī
yās-o-armān-o-tamannā se na ghabrā āshiq
rah-e-ulfat meñ baḌhā.eñgī ye himmat terī
barkateñ kis ke qadam kī haiñ dil-e-zār batā
roz baḌhtī hī chalī jaatī hai vus.at terī
kis ne rokā hai tujhe kyuuñ nahīñ aatī hai qazā
roz ushshāq kiyā karte haiñ minnat terī
jā-ba-jā tere sabab se maiñ rukā jaatā huuñ
aaj dāman meñ kiye detā huuñ fursat terī
shaaq hai terī judā.ī dil-e-ġham-ghīñ mujh ko
le chalī sū-e-bayābāñ mujhe vahshat terī
kibr-o-naḳhvat hai ye kis chiiz pe batlā vo mujhe
ḳhaak hai terī binā kyā hai haqīqat terī
saikḌoñ jurm pe bhī rizq mujhe detā hai
ye ināyat ye mohabbat ye muravvat terī
haa.e afsos 'jamīla' ye huā haal tirā
ab to dekhī nahīñ jaatī hai musībat terī
Top Urdushayar.com