Meer Mohammadi Bedar

aashiq na agar wafa karega

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796

āshiq na agar vafā karegā

phir aur kaho to kyā karegā

mat toḌiyo dil sanam kisī

allāh tirā bhalā karegā

hai ālam-e-ḳhvāb hāl-e-duniyā

dekhegā jo chashm karegā

jiitā na bachegā koī zālim

aisī jo adā karegā

kal ke to ka.ī paḌe haiñ zaḳhmī

kyā jāniye aaj kyā karegā

aa jā.egā sāmne jis ke

dil kyā hai ki fidā karegā

kyā jāniye kyā karegā tūfāñ

gar ashk yūñhī bahā karegā

'bedār' ye bait-e-dard ro ro

furqat meñ tirī paḌhā karegā

''apnī āñkhoñ meñ tujh ko dekhūñ

aisā bhī kabhū ḳhudā karegā''

Top Urdushayar.com