Meer Mohammadi Bedar

qasid us ka payam kuchh bhi hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796

qāsid us payām kuchh bhī hai

kah duā salām kuchh bhī hai

suḳhan-e-mehr-ḳhvāh harf-e-itāb

us ke muñh kalām kuchh bhī hai

saaf durd-e-bāda-e-gul-gūñ

sāqī-e-lāla-fām kuchh bhī hai

kyā ġham-e-hijr kyā surūr-e-visāl

guzarāñ hai davām kuchh bhī hai

us ruḳh o zulf se ki duuñ tashbīh

ḳhūbī-e-sub.h-o-shām kuchh bhī hai

yaad meñ apne yaar ke rahnā

behtar aur us se kaam kuchh bhī hai

jo 'bedār' yuuñ phire hai ḳharāb

pās-e-nāmūs-o-nām kuchh bhī hai

Top Urdushayar.com