Meer Mohammadi Bedar

mir-e-majlis-e-rindan aaj wo sharabi hai

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
mīr-e-majlis-e-rindāñ aaj vo sharābī hai
ḳhūn-e-dil jise merā bada-e-gulābī hai
dil ko saḳht betābī chashm ko be-ḳhvābī hai
hijr meñ tire zālim ye ye kuchh ḳharābī hai
aish chāhiye jo kuchh so to aaj hai maujūd
jaam o mai hai saaqī hai sair-e-māhtābī hai
sub.h hone de Tuk tū raat hai abhī baaqī
tujh ko ghar ke jaane kī aisī kyā shitābī hai
ham haiñ aur tum ho yaañ ġhair to nahīñ koī
aa gale se lag jaao vaqt-e-be-hijābī hai
tere ai parī-paikar siine par nahīñ pistāñ
tāq-e-husn par goyā shīsha-e-habābī hai
kyuuñ na bazm meñ 'bedār' hove qābil-e-tahsīñ
har yak is ġhazal ke biich sher intiḳhābī hai
Top Urdushayar.com