Meer Mohammadi Bedar

hum teri KHatir-e-nazuk se KHatar karte hain

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
ham tirī ḳhātir-e-nāzuk se ḳhatar karte haiñ
varna naale to ye patthar meñ asar karte haiñ
dil o diiñ thā so liyā aur bhī kuchh matlab hai
baar baar aap jo īdhar ko nazar karte haiñ
fā.eda kyā hai agar sharq se tā-ġharb phire
rāh-rau ve haiñ jo hastī se safar karte haiñ
ham to har shakl meñ yaañ ā.ina-ḳhāne kī misāl
aap hī aate haiñ nazar sair jidhar karte haiñ
kyā ho gar koī ghaḌī yaañ bhī karam farmāo
aap is raah se āḳhir to guzar karte haiñ
tere ayyām-e-firāq ai sanam-e-mehr-ġhusil
aah mat pūchh ki kis tarah basar karte haiñ
din ko phirte haiñ tujhe DhūñDne aur raat tamām
sham.a kī tarah se ro ro ke sahar karte haiñ
bas nahīñ ḳhuub ki aise ko dil apnā diije
aage tū jaan miyāñ ham to ḳhabar karte haiñ
ye vahī fitna-e-āshob-e-jahāñ hai 'bedār'
dekh kar piir o javāñ jis ko hazar karte haiñ
Top Urdushayar.com