Meer Mohammadi Bedar

na diya us kun ya diya qasid

Meer Mohammadi Bedar

Delhi, India

1732-1796
na diyā us kuuñ yā diyā qāsid
sach batā naama kyā kiyā qāsid
na phirā aah koī le ke javāb
jo gayā vaañ so gum huā qāsid
aaj āvegā yā na āvegā
mere ghar meñ vo dil-rubā qāsid
dil ko hai saḳht intizār-e-javāb
kah shitābī se kyā kahā qāsid
kūcha-e-yār meñ mire zinhār
jā.iyo mat barhana-pā qāsid
ḳhār-e-mizhgān-e-kushtagān-e-vafā
vaañ haiñ uftāda jā-ba-jā qāsid
nāma-e-shauq ko mire le kar
yaar ke paas jab gayā qāsid
mohr ko ḳhat kī dekh kahne lagā
kaun 'bedār' hai batā qāsid
jis ne bhejā hai tere haath ye ḳhat
maiñ nahīñ us se āshnā qāsid
Top Urdushayar.com