Prem Shankar Goila Farhat

hayat-e-la-ubaali mujhko farhat sazgar aai

Prem Shankar Goila Farhat

hayāt-e-lā-ubālī mujh ko 'farhat' sāzgār aa.ī
ki istiġhnā meñ ishrat be-niyāz-e-iztirār aa.ī
sitam kī raah se jab bevafā.ī kāmgār aa.ī
to phir rāh-e-mohabbat se vafā kyuuñ sogvār aa.ī
fareb-e-yak tabassum se qabā-e-gul hai sad-pāra
shagūfoñ ke liye kyā kyā bharam le kar bahār aa.ī
mirī qismat mujhe manzil pe ab laa.ī to kyā hāsil
jo din the zindagī ke vo to raste meñ guzār aa.ī
ye kyā andāz-e-qassām-e-azal thā kyā navāzish thī
mire hissa meñ le de kar hayāt-e-musta.ār aa.ī
tahī kashkol-e-nargis aur hai sāġhar ba-kaf laala
ye kis andāz se ab ke bahār-e-kam-ayār aa.ī
mire kām-o-dahan kī āzmā.ish ke liye shāyad
mai-e-do-ātisha paiham ba-rañg-e-nūr-o-nār aa.ī
huī tauq-o-salāsil ko hamāre jab kabhī jumbish
sadā-e-rast-gārī ham ko 'farhat' baar baar aa.ī
Top Urdushayar.com