apne  zauq-e-dīd  ko  ab  kārgar  paatā  huuñ  maiñ
un  kā  jalva  har  taraf  pesh-e-nazar  paatā  huuñ  maiñ
vo  bhī  din  the  jab  mire  dil  ko  thī  terī  justujū
ye  bhī  din  hai  dil  ko  ab  terā  hī  ghar  paatā  huuñ  maiñ
har  qadam  hai  justujū  kī  raah  meñ  dushvār-tar
har  qadam  par  gum-rahī  ko  rāhbar  paatā  huuñ  maiñ
aa  gayā  hai  ishq  meñ  kaisā  ye  hairat  kā  maqām
jis  taraf  jaatā  huuñ  un  ko  jalva-gar  paatā  huuñ  maiñ
ab  kahāñ  merī  nazar  meñ  dahr  kī  rañgīniyāñ
ab  to  apne  aap  hī  ko  ḳhud-nigar  paatā  huuñ  maiñ
maut  se  hotī  hai  'shaidā'  zindagī  kī  parvarish
har  nafas  meñ  ye  haqīqat  mushtahar  paatā  huuñ  maiñ