sakī  mukh  safhe  par  tere  likhyā  rāqim  malak  misrā
ḳhafī  ḳhat  suuñ  likhyā  nāzuk  tire  donoñ  palak  misrā
qalam  le  kar  jalī  likhyā  jo  kuī  bhī  nā  sakeñ  likhne
likhyā  hai  vo  kadhin  mukh  tere  safhe  par  alak  misrā
sū  likh  likh  kar  pareshāñ  ho  qalam  laT  aap  kahte  haiñ
muqābil  uus  ke  hose  na  likheñge  gar  do  lak  misrā
bazāñ  kar  dekh  mukh  dhun  kā  davānī  ho  bahāne  suuñ
kiye  sab  ḳhush-navesāñ  saT  qalam  likh  na.iiñ  na  sak  misrā
qalam  mukhḌe  suuñ  nāsik  le  likhe  hai  lab  ko  surḳhī  suuñ
jo  kuī  bhī  dekh  kahte  haiñ  likhyā  hai  kyā  ḳhubak  misrā
sakī  ke  kuch  pe  nāzuk  ḳhat  na  būjhe  koī  kine  likhyā
'qutub'  kuuñ  pūchhe  tū  yuuñ  ke  likhyā  hai  merā  nak  misrā