ḳhabar  liyāyā  hai  hudhud  mere  ta.iiñ  us  yār-e-jānī  kā
ḳhushī  kā  vaqt  hai  zāhir  karūñ  rāz-e-nihānī  kā
mire  jiiv  aarsī  meñ  ḳhyāl  tuj  mukh  kā  so  distā  hai
kare  uu  ḳhayāl  munj  dil  meñ  nishānī  zar-fishānī  kā
chitā  ho  ishq  ke  jañgal  meñ  baiThā  hai  darī  le  kar
liyā  hai  jhāñp  suuñ  aahū  naman  dil  munj  āyānī  kā
ḳhudā  kā  shukr  hai  tuj  saltanat  the  kaam  paayā  huuñ
dannadī  dushman  ke  mukh  par  piyūtā  mai  arġhuvānī  kā
chhabīle  mast  saaqī  ke  pichheñ  dauḌe  sau  maḳhmūrāñ
pilāo  mai  havā  ab  to  huā  hai  gul-fishānī  kā
hameñ  haiñ  ishq  ke  pannath  meñ  dono  aalam  the  be-parvā
lagyā  hai  daaġh  munj  dil  par  us  hindostānī  kā
paḌe  dumbāl  meñ  mere  so  us  naināñ  ke  dumbāle
ḳhudāyā  ishq  mushkil  hai  bharam  rakh  tuuñ  ma.ānī  kā