tuman  raushnī  bin  haman  raushnī  naah
tū  dīdār  bin  sabhī  dīdār  haiñ  kaah
sabhī  jhaaḌ  kuuñ  pat-jhaḌī  baav  aayā
chakar  khāñs  par  hai  nazar  tū  disūñ  shaah
tuman  ḳhyāl  setī  hameñ  ḳhyāl  bāñdhe
raqībāñ  na  būjheñ  ye  baat  aah  hai  aah
namāzāñ  karūñ  raat  din  malne  kyaañ  maiñ
havā  munj  kuuñ  rozī  zulhamdulillah
añdhār.e  ke  bādal  munje  beḌī  chau-pahr
ḳhudāyā  tū  bhejeñ  haman  bād-e-dil-ḳhvāh
katā  sabr  fariyād  kar  chup  na  rah  tuuñ
karūñ  aah  ā.hāñ  tuuñ  niiñ  hotā  āgāh
huā  be-qarār  aah  ā.hāñ  te  maiñ  ab
nazar  bā-muñj  upar  dasūñgā  ki  jiyūñ  maah
karegā  agar  yaad  vo  munj  dukhī  kuuñ
karūñ  yaad  agar  kis  kuuñ  astaġhfirullah
'ma.ānī'  hai  aajiz  tirī  ḳhidmatāñ  meñ
nahīñ  sud-bud  us  kuuñ  tuuñ  kar  sab  the  āgāh