nazar  taj  pe  hai  kyā  tamāshā  kā  hājat
nahīñ  sabz  ḳhat  aage  champā  kā  hājat
tabībāñ  kareñ  munj  kuuñ  baalī  suuñ  daarū
ki  baalī  haiñ  mohan  hai  baalā  kā  hājat
hamīñ  neshakar  namne  hilje  haiñ  band  meñ
nahīñ  hor  hamnā  kuuñ  jaalā  kā  hājat
ḳhumārī  nayan  the  khile  phuul  jiiv  meñ
nahīñ  mo  ko  duunā  o  baalā  kā  hājat
mirā  dil  hai  zar-baft  kā  kārḳhāna
nahīñ  munj  kuuñ  bāzār  vaalā  kā  hājat
tū  kahniyāñ  kitābāñ  ke  jiiv  meñ  likhyā  huuñ
muammā  hai  niiñ  khol  kahnā  kā  hājat
añgūThī  sulaimāñ  kī  tuj  haat  meñ  hai
sikandar  ke  darpan  ujālā  kā  hājat
mirā  dil  kuñdan  husn  kā  khaan  hai  tū
nahīñ  hai  sunārī  taqāzā  kā  hājat
haman  mudda.ā  mudda.ī  nā  bujhe  kuch
nako  bahs  karnīñ  hai  a.adā  kā  hājat
'ma.ānī'  tirā  zar-garī  kui  na  būjheñ
ki  is  ilm  meñ  niiñ  hai  daanā  kā  hājat