sab  iḳhtiyār  merā  tuj  haat  hai  pyārā
jis  haal  suuñ  rakhegā  hai  o  ḳhushī  hamārā
nainā  anjhūñ  suuñ  dho.ūñ  pag  ap  palak  suuñ  jhāḌūñ
je  kuī  ḳhabar  so  liyāve  mukh  phuul  kā  tumhārā
but-ḳhāne  nayan  tere  hor  but  nayan  kiyāñ  putliyāñ
muj  nayan  meñ  pujārī  puujā  adhān  hamārā
us  putliyāñ  kī  sūrat  kuī  ḳhvāb  meñ  jo  dekhe
raskh  aa.e  muj  kare  mat  koī  sajda  us  davārā
tuj  ḳhayāl  kī  havas  the  hai  ji.u  haman  so  zinda
o  ḳhayāl  kad  na  jaave  ham  sar  the  Tuk  bahārā