Qamar Jameel

dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen

Qamar Jameel

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1927-2000

dast-e-junūñ meñ dāman-e-gul ko laane tadbīr kareñ

narm havā ke jhoñko aao mausam ko zanjīr kareñ

mausam-e-abr-o-bād se pochheñ lazzat-e-sozāñ mafhūm

mauja-e-ḳhūñ se dāman-e-gul par harf-e-junūñ tahrīr kareñ

āmad-e-gul vīrānī bhī dekh rahī hai kyā kyā ḳhvāb

vīrānī ke ḳhvāb ko aao vahshat se ta.abīr kareñ

raat ke jaage sub.h halkī narm havā meñ so.e haiñ

dekheñ kab tak niiñd ke maate uThne meñ tāḳhīr kareñ

tanhā.ī meñ kāhish-e-jāñ ke hāthoñ kis ārām se haiñ

kaise apne naaz uThā.eñ kyā apnī tahqīr kareñ

betābī to ḳhair rahegī betābī baat nahīñ

marnā itnā sahl nahīñ hai jiine tadbīr kareñ

ghuum rahe haiñ dasht-e-junūñ meñ un ke kyā kyā ruup 'jamīl'

kis ko dekheñ kis ko chhoḌeñ kis ko ke asiir kareñ

Top Urdushayar.com