shaam  ajiib  shaam  thī  jis  meñ  koī  ufaq  na  thā
phuul  bhī  kaise  phuul  the  jin  ko  suḳhan  kā  haq  na  thā
yaar  ajiib  yaar  thā  jis  ke  hazār  naam  the
shahr  ajiib  shahr  thā  jis  meñ  koī  tabaq  na  thā
haath  meñ  sab  ke  jild  thī  jis  ke  ajiib  rañg  the
jis  pe  ajiib  naam  the  aur  koī  varaq  na  thā
jaise  adam  se  aa.e  hoñ  log  ajiib  tarah  ke
jin  kā  lahū  safed  thā  jin  kā  kaleja  shaq  na  thā
jin  ke  ajiib  taur  the  jin  meñ  koī  kiran  na  thī
jin  ke  ajiib  dars  the  jin  meñ  koī  sabaq  na  thā
log  kaTe  hue  idhar  log  paḌe  hue  udhar
jin  ko  koī  alam  na  thā  jin  ko  koī  qalaq  na  thā
jin  kā  jigar  siyā  huā  jin  kā  lahū  bujhā  huā
jin  kā  rafū  kiyā  huā  chehra  bahut  adaq  na  thā
kaisā  tilismī  shahr  thā  jis  ke  tufail  raat  bhī
mere  lahū  meñ  gard  thī  ā.īna-e-shafaq  na  thā