maiñ  jinheñ  fareb  samjhūñ  tirī  yād-e-mehrbāñ  ke
vo  charāġh  bujh  ga.e  haiñ  mirī  umr-e-jāvedāñ  ke
na  ye  lāla-zār  apne  na  ye  rahguzār  apnī
vahī  ghar  zamīñ  ke  nīche  vahī  ḳhvāb  āsmāñ  ke
ye  piyāla  hai  ki  dil  hai  ye  sharāb  hai  ki  jaañ  hai
ye  daraḳht  haiñ  ki  saa.e  kisī  dast-e-mehrbāñ  ke
mujhe  yaad  aa  rahe  haiñ  vo  charāġh  jin  ke  saa.e
kabhī  dostoñ  ke  chehre  kabhī  daaġh  raftagāñ  ke