peḌ  ke  pattoñ  meñ  halchal  hai  ḳhabar-dār  se  haiñ
shaam  se  tez  havā  chalne  ke  āsār  se  haiñ
nāḳhudā  dekh  rahā  hai  ki  maiñ  girdāb  meñ  huuñ
aur  jo  pul  pe  khaḌe  log  haiñ  aḳhbār  se  haiñ
chaḌhte  sailāb  meñ  sāhil  ne  to  muñh  Dhāñp  liyā
log  paanī  kā  kafan  lene  ko  tayyār  se  haiñ
kal  tavārīḳh  meñ  dafnā.e  ga.e  the  jo  log
un  ke  saa.e  abhī  darvāzoñ  pe  bedār  se  haiñ
vaqt  ke  tiir  to  siine  pe  sambhāle  ham  ne
aur  jo  niil  paḌe  haiñ  tirī  guftār  se  haiñ
ruuh  se  chhīle  hue  jism  jahāñ  bikte  haiñ
ham  ko  bhī  bech  de  ham  bhī  usī  bāzār  se  haiñ
jab  se  vo  ahl-e-siyāsat  meñ  hue  haiñ  shāmil
kuchh  adū  ke  haiñ  to  kuchh  mere  taraf-dār  se  haiñ