Gulzar

kanch ke pichhe chand bhi tha aur kanch ke upar kai bhi

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
kāñch ke pīchhe chāñd bhī thā aur kāñch ke uupar kaa.ī bhī
tīnoñ the ham vo bhī the aur maiñ bhī thā tanhā.ī bhī
yādoñ kī bauchhāroñ se jab palkeñ bhīgne lagtī haiñ
soñdhī soñdhī lagtī hai tab maazī kī rusvā.ī bhī
do do shakleñ dikhtī haiñ is bahke se ā.īne meñ
mere saath chalā aayā hai aap kā ik saudā.ī bhī
kitnī jaldī mailī kartā hai poshākeñ roz falak
sub.h hī raat utārī thī aur shaam ko shab pahnā.ī bhī
ḳhāmoshī kā hāsil bhī ik lambī sī ḳhāmoshī thī
un kī baat sunī bhī ham ne apnī baat sunā.ī bhī
kal sāhil par leTe leTe kitnī saarī bāteñ kiiñ
aap kā huñkārā na aayā chāñd ne baat karā.ī bhī
Top Urdushayar.com